اردو हिंदी
Jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin | Shaahi Shayari
jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin

Ghazal

Jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin

Waqar Khan

;

jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin
main us zamin pe panw bhi rakhne wala nahin

main us daraKHt ke andar tha jis ko kaTa gaya
kisi ne bhi to wahan se mujhe nikala nahin

wo apne ahd se aage ki baaten karne laga
bahakte shaKHs ko duniya ne phir sambhaala nahin

har ek choT pe kuchh aur juDne lagta tha
so us ne mujh ko kisi shakl mein bhi Dhaala nahin

ajib KHauf mein parwan chaDh rahi hai ye nasl
kisi ke hath mein bhi zahr ka piyala nahin

ab apni sanson se zanjir toDni hai mujhe
ki hath bechne ka aur kuchh izala nahin