اردو हिंदी
Jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota | Shaahi Shayari
jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota

Ghazal

Jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota

Nadeem ahmad

;

jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota
wahin talash karo main jahan nahin hota

agar tumhaari zaban se bayan nahin hota
mera wajud kabhi dastan nahin hota

bichhaD gaya tha wo milne se pesh-tar warna
main is tarah se kabhi raegan nahin hota

nazar bacha ke nikalna to chahta hun magar
wo kis jagah se hai ghaeb kahan nahin hota

kabhi to yun ki makan ke makin nahin hote
kabhi kabhi to makin ka makan nahin hota