jahan pe Dub gaya tha kabhi sitara mera
usi ufuq pe jahan-tab hai nazara mera
yahi hua ki parinde faza mein tair gae
na kaam aain meri bandishen na chaara mera
hawa-e-dasht bhi majnun-sifat nahin hai agar
to is maqam pe shayad na ho guzara mera
abhi to harf-e-tamanna likha nahin main ne
abhi se kyun waraq-jaan hai para para mera
na aag lagti na taqsim-e-jism-o-jaan hoti
fughan ki shahr-e-sitam par nahin ijara mera
wo tirgi hai ki rah-e-KHayal bhi gum hai
na aasman hai raushan na istiara mera
na koi dasht munawwar hua na dar 'nami'
nawah-e-ghair mein jal bujh gaya sharara mera

Ghazal
Jahan pe Dub gaya tha kabhi sitara mera
Nami Ansari