اردو हिंदी
Jahan pe basna hai mujhko ab wo jahan ijad ho raha hai | Shaahi Shayari
jahan pe basna hai mujhko ab wo jahan ijad ho raha hai

Ghazal

Jahan pe basna hai mujhko ab wo jahan ijad ho raha hai

Shehzad Raza Lams

;

jahan pe basna hai mujh ko ab wo jahan ijad ho raha hai
nai zamin aur ek naya aasman ijad ho raha hai

kisi gali mein sara-e-fani ki tum ko ab hum nahin milenge
wo qarya-e-jawedan mein apna makan ijad ho raha hai

wo jald pahunchega tum talak tum sunani apni use sunana
bas ek lamha ruko mera tarjuman ijad ho raha hai

tum ek kinara hum ek kinara zamana aab-e-rawan ho jaise
ye fasla ab hamare hi darmiyan ijad ho raha hai

badan se mere wo puchhti hai batao aashiq kahan hai mera
dhaDak ke dil ye jawab deta hai jaan ijad ho raha hai

bahut chalaya gaya hai hum ko KHabar ho is tez dhup ko ab
hamara dasht-e-tapan mein ek saeban ijad ho raha hai