jahan nifaq ke shoale milen bujha ke chalo
charagh amn-o-mohabbat ka tum jala ke chalo
tumhaare baad bhi aaenge qafile yaro
milen jo rah mein kanTe unhen haTa ke chalo
abhi to kaam inhen bhi bahut se karne hain
numud-e-subh hai soton ko bhi jaga ke chalo
ishaara waqt ka ye hai ki ai jahan walo
niyaz-o-naz ki tafriq ko miTa ke chalo
bhaTak rahe hon jo rahon mein denge tum ko dua
bujhe charagh sar-e-rahguzar jala ke chalo
tumhein bhi zindagi-e-jawedan mayassar ho
wafa ki rah mein dil ko agar miTa ke chalo
mile hain hosh-o-KHirad is liye tumhein 'saqi'
junun ki rah mein hosh-o-KHirad luTa ke chalo
Ghazal
Jahan nifaq ke shoale milen bujha ke chalo
Aulad Ali Rizvi