jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain
makan ko chhoD chuke hain zaman mein rahte hain
tere KHayal mein apna guzar nahin hota
jo dil se gir gae wahm-o-guman mein rahte hain
chhaTe ghubar to nam-o-nishan hamara mile
ki hum to gard-e-pas-e-karwan mein rahte hain
jo KHar hain wo khaTakte hain chashm-e-ada mein
jo phul hain wo dil-e-dostan mein rahte hain
shaguft-e-jaan ke liye khinch ranj-e-mahrumi
bahaar ke sabhi mausam KHizan mein rahte hain
nahin jo wo to dar-o-baam ki faza se milo
makin ke rang-e-tabiat makan mein rahte hain
hum apni aag ko pani mein Dhaalne ke liye
tilism-kari-e-ah-o-fughan mein rahte hain
uruj-e-ishq ye dekha ki tere diwane
zamin pe chalte hain aur aasman mein rahte hain
kitab-e-haal mein 'baqar' ko DhunDte ho abas
suna hai dil ki kisi dastan mein rahte hain

Ghazal
Jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain
Sajjad Baqar Rizvi