jahan mein KHud ko banane mein der lagti hai
kisi maqam pe aane mein der lagti hai
uruj-e-waqt pe jaane mein der lagti hai
har ek ilm ko pane mein der lagti hai
phir un ke pas bhi jaane mein der lagti hai
hamesha un ko manane mein der lagti hai
hamare shahr mohalle gali ka ab mahaul
bigaD gaya to banane mein der lagti hai
ana ki soch ko ya phir ana ke honTon ko
ghamon ka haal batane mein der lagti hai
hai husn walon ka andaz ye zamane mein
hai ishq phir bhi jatane mein der lagti hai
ye baat aaegi tum ko samajh mein kab 'fayyaz'
bulandi milne mein pane mein der lagti hai
Ghazal
Jahan mein KHud ko banane mein der lagti hai
Faiyyaz Rashk