اردو हिंदी
Jahan mein kahan baham ulfat rahi hai | Shaahi Shayari
jahan mein kahan baham ulfat rahi hai

Ghazal

Jahan mein kahan baham ulfat rahi hai

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

jahan mein kahan baham ulfat rahi hai
magar sirf sahib-salamat rahi hai

hai afsos ai umr jaane ka tere
ki tu mere pas ek muddat rahi hai

ye tufan-e-ashk is mein aankhon ki kashti
tajjub hai kyun kar salamat rahi hai

agarche teri yaad mein KHush hun lekin
in aankhon se dekhun ye hasrat rahi hai

mat ummid bose ki rakh dilbaron se
'huzur' ab kise itni himmat rahi hai