اردو हिंदी
Jahan mein jo kai gul-badan KHush-nayan hai | Shaahi Shayari
jahan mein jo kai gul-badan KHush-nayan hai

Ghazal

Jahan mein jo kai gul-badan KHush-nayan hai

nayan sukh

;

jahan mein jo kai gul-badan KHush-nayan hai
bahut ji ko pyara hai aur man-haran hai

ye sab KHubiyan tujh mein haingi pari-ru
tu hi man-haran hai tu hi chit lagan hai

diwana hun us dam ki jis dam kahen hain
shakar-lab bhi kya KHub shirin bachan hai

zara pyar se jis se tu hans ke bole
to be-shak use baadshahi KHutan hai

tajalla tera jin ne Tuk dekh paya
wali hai wo phir aur falatun-zaman hai

tere aawne ki KHabar sun ke pyare
khaDa muntazir sara nargis-chaman hai

bhala tujh ko duniya mein koi kyun ki pawe
na ghar kahin tera kahin na watan hai

hai sab mein mila aur sab se nirala
ajab teri qudarat ajab tera fan hai

tu ab KHwah nazdik ya dur hi rah
teri yaad ji mein mere raat-din hai

ghanimat hai mujh ko buzurgi ye itni
main talib hun tera aur tu jaan-e-man hai

karam ki nazar se zara dekh idhar
tera 'nain' aajiz hai rangin-suKHan hai