jahan mein jis ki shohrat ku-ba-ku hai
wo mujh se aaj mahw-e-guftugu hai
raha aabaad KHwabon mein jo ab tak
KHusha qismat ki ab wo ru-ba-ru hai
kabhi wo pyar se ek phul lae
bahut din se meri ye aarzu hai
nahin aata ghazal mein nam koi
talluq is qadar ba-abru hai
mera ehsas jis se hai moattar
wahi KHushbu to mere chaar-su hai
sarapa mera jo hai itna rangin
ye us ki yaad ka hi rang-o-bu hai
jahan kal tak tha mayusi ka sahra
wahan ummid ki ek aabju hai
wo aawazen jo dil mein gunjti hain
meri anfas ki wo haw-hu hai
mujhe le jae jo manzil ki jaanib
ab aise karwan ki justuju hai
mera zahir nazar aata hai jaisa
mera baatin bhi waisa hu-ba-hu hai
'sabila' soch itni pak rakkhi
har ek mazmun mera ba-wazu hai

Ghazal
Jahan mein jis ki shohrat ku-ba-ku hai
Sabeela Inam Siddiqui