اردو हिंदी
Jahan mein har bashar majbur ho aisa nahin hota | Shaahi Shayari
jahan mein har bashar majbur ho aisa nahin hota

Ghazal

Jahan mein har bashar majbur ho aisa nahin hota

Ambar Kharbanda

;

jahan mein har bashar majbur ho aisa nahin hota
har ek rahi se manzil dur ho aisa nahin hota

talluq TuTne ka gham kabhi hum se bhi puchho tum
tumhaara zaKHm hi nasur ho aisa nahin hota

gawahon ko to bik jaane ki majburi rahi hogi
hamein bhi faisla manzur ho aisa nahin hota

mohabbat jurm hai to phir saza bhi ek jaisi ho
koi ruswa koi mashhur ho aisa nahin hota

kitabon ki hain ye baaten kitabon hi mein rahne do
koi muflis kabhi masrur ho aisa nahin hota

koi misra agar dil mein utar jae ghanimat hai
taghazzul se ghazal bharpur ho aisa nahin hota

kabhi pita hai 'amabar' zindagi ke gham bhulane ko
wo har shab hi nashe mein chur ho aisa nahin hota