jahan mein haal mera is qadar zabun hua
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukun hua
gharib dil ne bahut aarzuen paida kin
magar nasib ka likkha ki sab ka KHun hua
wo apne husn se waqif main apni aql se sair
unhon ne hosh sambhaala mujhe junun hua
ummid-e-chashm-e-murawwat kahan rahi baqi
zariya baaton ka jab sirf telephone hua
nigah-e-garm christmas mein bhi rahi hum par
hamare haq mein december bhi mah-e-june hua
Ghazal
Jahan mein haal mera is qadar zabun hua
Akbar Allahabadi