jahan mabud Thahraya gaya hun
wahin suli pe laTkaya gaya hun
suna har bar mera kalma-e-sidq
magar har bar jhuThlaya gaya hun
kabhi mazi ka jaise tazkira ho
zaban par is tarah laya gaya hun
abhi tadfin baqi hai abhi to
lahu se apne nahlaya gaya hun
dawami azmaton ke maqbare mein
hazaron bar dafnaya gaya hun
taras kaisa ki is dar-ul-bala mein
azal ke din se tarsaya gaya hun
na jaane kaun se sanche mein Dhaalen
abhi to sirf pighlaya gaya hun
main is hairat-sara-e-ab-o-gil mein
ba-hukm-e-KHas bhejwaya gaya hun
Ghazal
Jahan mabud Thahraya gaya hun
Rais Amrohvi