jahan kuchh dard ka mazkur hoga
hamara sher bhi mashhur hoga
jahan mein husn par do din ke ai gul
koi tujh sa bhi kam maghrur hoga
paDenge yun hi sang-e-tafraqa gar
to ek din shisha-e-dil chur hoga
mujhe kal KHak-afshan dekh bola
yahi ushshaq ka dastur hoga
hua hun marg ke nazdik gham se
KHuda jaane ye kis din dur hoga
wahi samjhega mere zaKHm-e-dil ko
jigar par jis ke ek nasur hoga
hamein paimana tab ye dega saqi
ki jam-e-umr jab mamur hoga
jo yun gham nish-zan har dam rahega
to phir dil KHana-e-zambur hoga
yahi rona hai gar manzur 'jurat'
to binai se tu mazur hoga
Ghazal
Jahan kuchh dard ka mazkur hoga
Jurat Qalandar Bakhsh