اردو हिंदी
Jahan ko chhoD diya tha jahan ne yaad kiya | Shaahi Shayari
jahan ko chhoD diya tha jahan ne yaad kiya

Ghazal

Jahan ko chhoD diya tha jahan ne yaad kiya

Majeed Lahori

;

jahan ko chhoD diya tha jahan ne yaad kiya
bichhaD gae to bahut karwan ne yaad kiya

mila nahin use shayad koi sitam ke liye
zah-e-nasib mujhe aasman ne yaad kiya

wo ek dal jo kaDi dhup mein jhulasta tha
use bhi saya-e-zulf-e-butan ne yaad kiya

panah mil na saki un ko tere daman mein
wo ashk jin ko mah-o-kahkashan ne yaad kiya

KHayal hum ko bhi kuchh aashiyan ka tha lekin
qafas mein hum ko bahut aashiyan ne yaad kiya

hamare baad bahae kisi ne kab aansu
hum ahl-e-dard ko abr-e-rawan ne yaad kiya

gham-e-zamana se fursat nahin magar phir bhi
'majid' chal tujhe pir-e-mughan ne yaad kiya