اردو हिंदी
Jahan KHud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta | Shaahi Shayari
jahan KHud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta

Ghazal

Jahan KHud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta

Anwar Feroz

;

jahan KHud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta
ki jis mein bhai laDte hun wo ghar achchha nahin lagta

wo dastar-e-ana pahne qabile ka sitara hai
amir-e-shahr ko lekin wo sar achchha nahin lagta

jo walid ka buDhape mein sahaara ban nahin sakta
jo sach puchho to ho laKHt-e-jigar achchha nahin lagta

mujhe to pyar hai un se jo kaam aate hain auron ke
faqat daulat kamane ka hunar achchha nahin lagta

chaman ko raundne wale ko rahbar kis tarah manun
wo KHud achchha bane mujh ko magar achchha nahin lagta

mujhe to pyar wali apni kuTiya achchhi lagti hai
jo aiwan nafraten de us ka dar achchha nahin lagta

jo bachche bhul kar ranginiyon mein gharq ho jae
KHuda shahid hai mujh ko wo pidar achchha nahin lagta

hadaf ho samne 'anwar' to chalte hi rahte hain
sarabon ka hum ko safar achchha nahin lagta