jahan jahan par qadam rakhoge tumhein milegi wahin udasi
ye raaz kuchh is tarah samajh lo makan mera hai makin udasi
samay ki aankhon se dekhiye to har ek khanDar mein chhupe milenge
kahin pe bachpan kahin jawani kahin buDhapa kahin udasi
mere shabistan ke pas koi buri tarah kal sisak raha tha
main us ke sine se lag ke bola nahin udasi nahin udasi
badhai chahkin duaen gunji tamam chehre KHushi se jhume
qubul hai tin bar boli jab ek parda-nashin udasi
bichhaDne wale bichhaDte Time na kah sake kuchh na sun sake kuchh
bas ek photo mein qaid kar li gai bala ki hasin udasi
shafiq suraj KHamosh pani magar abhi bhi kami hai kuchh kuchh
'charagh'-sahab ke sher paDh kar karen mukammal hamin udasi
Ghazal
Jahan jahan par qadam rakhoge tumhein milegi wahin udasi
Ayush Charag