jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae
dilon se mehr-o-mohabbat ki fasl char jae
khule hain unchi haweli ke paltu kutte
faqir-e-rah zara dekh-bhaal kar jae
wahin se hun main jahan se dikhai deta hun
wahin tilak hun jahan tak meri nazar jae
hai koi der se us par muntazir mera
ruka hua hun ki naddi zara utar jae
wo baad-e-tund hai har peD ki ye koshish hai
hawa ke sath koi dusra shajar jae
hudud-e-zat se aage KHudaon ki had hai
mein sochta hun agar zehn kaam kar jae
bhari paDi hai ufunat se inch inch zamin
is ek phul ki KHushbu kidhar kidhar jae
abhi talak tere raste mein pul-siraat pe hai
guzarne wala zaruri nahin guzar jae
'nasim' ganw ki masjid mein raat kaTega
ek ajnabi sa musafir hai kis ke ghar jae

Ghazal
Jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae
Naseem Abbasi