jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae
dilon se mehr-o-mohabbat ki fasl char jae
wahin se hun main jahan se dikhai deta hun
wahin talak hun jahan tak meri nazar jae
hudud-e-zat se aage KHudaon ki had hai
main sochta hun agar zehn kaam kar jae
bhari paDi hai ufunat se inch inch zamin
us ek phul se KHushbu kidhar kidhar jae
wo baad-e-tund hai har peD ki ye koshish hai
hawa ke sath koi dusra shajar jae
'nasim' ganw ki masjid mein raat kaTega
ek ajnabi sa musafir hai kis ke ghar jae

Ghazal
Jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae
Naseem Abbasi