jahan hai qad us ka jalwa-farma to sarw wan kis hisab mein hai
wo qamat aisa hai kuchh qayamat qayamat us ki rikab mein hai
ye sab ghalat hai jo yun hain kahte ki us ka mukhDa naqab mein hai
naqab kya hai wo sharmgin to naqab se bhi hijab mein hai
wo gora pinDa aur us mein surKHi magar KHuda ne le sar se ta-pa
kiya hai maida to motiyon ka aur us ko gundha shahab mein hai
jhapak jo mukhDe ki dekhi us ke to hum ne apne ye dil mein jaana
unhi ke partaw se mah hai raushan usi ka nur aaftab mein hai
rahega mahbub jis makan mein to wan hi dekhenge us ko ja kar
gharaz wo jis ka ki nam dil hai ye dhun us aali-janab mein hai
jo ghussa ho kar wo dewe gali to us ada se ki hum to kya hain
farishte ghash ho ke lauT jawen ye lutf us ke itab mein hai
bandha hai jab se KHayal us ka ajab tarah ki lagan lagi hai
kabhi wo dil mein kabhi wo ji mein kabhi wo chashm-e-pur-ab mein hai
wahi udhar hai wahi idhar hai wahi zaban par wahi nazar mein
jo jagta hun to dhyan mein hai jo so gaya hun to KHwab mein hai
'nazir' sikhe se ilm rasmi bashar ki hoti hain chaar aankhen
paDhe se jis ke hon lakh aankhen wo ilm dil ki kitab mein hai
Ghazal
Jahan hai qad us ka jalwa-farma to sarw wan kis hisab mein hai
Nazeer Akbarabadi