jahan-e-tang mein tanha hua main
bahut achchha hua ruswa hua main
meri aankhon ka pahchana hua tu
nigah-e-dahr ka dekha hua main
ubhar aai hawa ki mauj sar mein
harif-e-mauja-e-dariya hua main
jabin-e-ab ki tahrir duniya
huruf-e-sang se likkha hua main
fana ke hath mein meri baqa hai
KHud apni KHak se paida hua main
hui wabasta mujh se tursh-rui
ki nashsha hun magar utra hua main
chhupa hun aaj tak us ki nazar se
zamane bhar pe aaina hua main
Ghazal
Jahan-e-tang mein tanha hua main
Zahid Farani