jahan-e-rang-o-bu mein mustaqil taKHliq-e-masti hai
chaman mein raat bhar banti hai aur din bhar barasti hai
nigah-e-ishq o chashm-e-husn do sawan ke baadal hai
ye jab milte hain dil par ek bijli si barasti hai
agar hai zindagi manzur be-soche fana ho ja
mazaq-e-ashiqi mein nisti ka nam hasti hai
yakayak phir charagh ummid ke hone lage raushan
ye subh-e-roz-e-mahshar hai ki sham-e-subh-e-hasti hai
KHuda se hukm-e-tansiKH-e-ajal mangenge mahshar mein
magar 'simab' ye to qissa-e-ma-baad-e-hasti hai
Ghazal
Jahan-e-rang-o-bu mein mustaqil taKHliq-e-masti hai
Seemab Akbarabadi