jahan-e-husn-o-nazar se kinara karna hai
wajud-e-shab ko mujhe istiara karna hai
mere daricha-e-dil mein Thahar na jae kahin
wo ek KHwab ki jis ko sitara karna hai
tamam shahr andheron mein Dub jaega
hawa ko ek hi us ne ishaara karna hai
ye qurbaton ke hain lamhe inhen ghanimat jaan
inhi dinon ko to hum ne pukara karna hai
wo doston ko bataega pyar ka qissa
aur us ne zikr bahut kam hamara karna hai
meri nigah mein jachta nahin koi 'asif'
visal-e-yar ko hasil dobara karna hai
Ghazal
Jahan-e-husn-o-nazar se kinara karna hai
Asif Shafi