jahan-e-fikr pe chamkega jab sitara mera
hunar zamane pe tab hoga aashkara mera
abhi se mat mere kirdar ko mara hua jaan
tere fasane mein zikr aaega dobara mera
tujhe darahim-o-dinar ki shahi zeba
main mutmain hun ki lafzon pe hai ijara mera
ye ishtiyaq meri dastaras wahan tak ho
ye intizar wo kis waqt hoga sara mera
rumuz-e-ishq se kab hogi aashnai teri
mere nadim tu samjhega kab ishaara mera
zamin-e-qibla-e-awwal tujhe KHuda rakhe
ki dil hua hai tere gham mein para para mera
Ghazal
Jahan-e-fikr pe chamkega jab sitara mera
Abdurrahman Wasif