jahan-e-fikr-o-nazar ka sabaat le ke gaya
wo sirf dil hi nahin kaenat le ke gaya
wo ahd-e-rafta wo ulfat wo ehtiram-e-wafa
gaya to sath mein sari sifat le ke gaya
bhaTak rahe the sarab-e-nazar liye har-su
shuur-e-ishq jahan dil ko sath le ke gaya
main sirf us ko taghaful kahun to kaise kahun
gaya to sath mein har iltifat le ke gaya
ghurur le ke mara iKHtiyar-e-hasti ka
tu apni fikr-e-hayat-o-mamat le ke gaya
lahad wahi hai magar aa chuke nae murde
to waqt lash ki sab baqiyat le ke gaya
zamir bechne wale wo tera sauda-gar
zamir hi nahin zat o sifat le ke gaya
wo aur kuchh bhi na rakhta tha jism o jaan ke siwa
suna 'shahid' mata-e-hayat le ke gaya
Ghazal
Jahan-e-fikr-o-nazar ka sabaat le ke gaya
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri