jahan-e-fikr mein misl-e-hawa chalta raha hun main 
liye gard-e-KHirad chaaron disha chalta raha hun main 
suragh-e-agahi ko main koi manzil samajh baiTha 
sarab-e-aql ki jaanib sada chalta raha hun main 
naward-e-kaenat-e-nau hun lekin ajnabi sa hun 
mashini daur se haT kar zara chalta raha hun main 
mujhe tabir ki KHwahish thi ya shayad nahin bhi thi 
alam KHwabon ka le kar ja-ba-ja chalta raha hun main 
agar main chhoD deta dil kabhi ka bujh gaya hota 
jala kar tirgi mein ye diya chalta raha hun main 
thakan ne aa liya tha jism tab sochen tawana thin 
jahan mein ruk gaya tha ye KHala chalta raha hun main 
bala ki gardishen thin soch mein jo chha gain mujh par 
bana ke zindagi ko daera chalta raha hun main 
abhi kitne marahil aur hain meri masafat ke 
mujhe kuchh to bata de ai KHuda chalta raha hun main
        Ghazal
Jahan-e-fikr mein misl-e-hawa chalta raha hun main
Salman Sarwat

