اردو हिंदी
Jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai | Shaahi Shayari
jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai

Ghazal

Jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai

Waseem Barelvi

;

jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai
koi uThta hai aur tufan ka ruKH moD deta hai

mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi KHauf us ka nahin jata
kahin bhi hadisa guzre wo mujh se joD deta hai

bichhaD ke tujh se kuchh jaana agar to is qadar jaana
wo miTTi hun jise dariya kinare chhoD deta hai

mohabbat mein zara si bewafai to zaruri hai
wahi achchha bhi lagta hai jo wade toD deta hai