اردو हिंदी
Jahan-bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega | Shaahi Shayari
jahan-bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega

Ghazal

Jahan-bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega

Umair Najmi

;

jahan-bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega
ye kul mila kar bhi hijr ki raat mere girye se kam banega

main dasht hun ye mughaalta hai na shairana mubaalagha hai
mere badan par kahin qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banega

hamara lasha bahao warna lahad muqaddas mazar hogi
ye surKH kurta jalao warna baghawaton ka alam banega

to kyun na hum panch sat din tak mazid sochen banane se qabl
meri chhuTTi bata rahi hai ye rishta TuTega gham banega

mujh aise logon ka TeDh-pan qudrati hai so e'tiraaz kaisa
shadid nam KHak se jo paikar banega ye tai hai KHam banega

suna hua hai jahan mein hai kar kuchh nahin hai so ji rahe hain
bana hua hai yaqin ki is raegani se kuchh aham banega

shahzade ki aadaten dekh kar sabhi us par muttafiq hain
ye jun hi hakim bana mahal ka wasia raqba-e-haram banega

main ek tartib se lagata raha hun ab tak sukut apna
sada ke waqfe nikal us ko shurua se sun ridham banega

safed rumal jab kabutar nahin bana to wo shoabada-baz
palaTne walon se kah raha tha ruko KHuda ki qasam banega