اردو हिंदी
Jagmagati KHwahishon ka nur phaila raat bhar | Shaahi Shayari
jagmagati KHwahishon ka nur phaila raat bhar

Ghazal

Jagmagati KHwahishon ka nur phaila raat bhar

Aslam Azad

;

jagmagati KHwahishon ka nur phaila raat bhar
sehn-e-dil mein wo gul-e-mahtab bikhra raat bhar

ek bhula waqia jab dafatan yaad aa gaya
aatish-e-zauq-e-talab ne phir jalaya raat bhar

doston ke sath din mein baiTh kar hansta raha
apne kamre mein wo ja kar KHub roya raat bhar

nind ke sahra mein pani ki tarah gum ho gaya
main ne us ko KHwab mein har samt DhunDa raat bhar

dhup ke baadal baras kar ja chuke the aur main
oDh kar shabnam ki chadar chhat pe soya raat bhar

nind ki komal fasilen aandhiyon mein bah gain
main ne apne KHwab ki lashon ko Dhoya raat bhar

narm bistar par shikan ki kirchiyan bikhri rahin
main ne 'aslam' ek ajab sa KHwab dekha raat bhar