اردو हिंदी
Jagmag jagmag uski aankhen mera sina julta tha | Shaahi Shayari
jagmag jagmag uski aankhen mera sina julta tha

Ghazal

Jagmag jagmag uski aankhen mera sina julta tha

Noor Bijnauri

;

jagmag jagmag us ki aankhen mera sina julta tha
chand hamare aage aage mashal le kar chalta tha

rahguzar thi mahki mahki ek tilismi KHushbu se
tez hawa mein us ka aanchal kya kya rang badalta tha

jhilmil jhilmil karte sapne pahli pahli chahat ke
sina-e-shab par is ke qadam the ya KHurshid nikalta tha

phul sa chehra dahka dahka zulfon ki shadabi mein
aalam-e-imkan chupke chupke apni aankhen malta tha

surKH labon ki pankhuDiyan jab haule se khil jati thin
qaus-e-quzah ka resham un par shabnam-war machalta tha

ek parinda chiKH raha tha masjid ke minare par
dur kahin ganga ke kinare aas ka suraj Dhalta tha

shahr-e-wafa mein ja nikle the hum bhi nur se milne ko
wo diwana ek parchhain ke hamrah Tahalta tha