اردو हिंदी
Jagah jagah se shikasta hain KHam hain diwaren | Shaahi Shayari
jagah jagah se shikasta hain KHam hain diwaren

Ghazal

Jagah jagah se shikasta hain KHam hain diwaren

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

jagah jagah se shikasta hain KHam hain diwaren
na jaane kitne gharon ka bharam hain diwaren

chhaton ka zikr hi kya un ko le uDi hai hawa
ab hadsat ke zer-e-qadam hain diwaren

barasti barishon mein hongi mojib-e-KHatra
abhi to dhup mein abr-e-karam hain diwaren

hamare KHeme tanabon ke bal pe qaem hain
chhaten to KHub mayassar hain kam hain diwaren

qadim shahron mein har-su qadam qadam bikhri
purani rah-guzaron mein zam hain diwaren

kahin dariche hain shan-o-shikoh ke marsiyan-KHwan
kahin mazar-e-waqar-o-hasham hain diwaren

ye fart-e-girya-o-zari ka hai asar 'mansha'
zamin makanon ki gili hai nam hain diwaren