اردو हिंदी
Jag hai mushtaq piw ke darshan ka | Shaahi Shayari
jag hai mushtaq piw ke darshan ka

Ghazal

Jag hai mushtaq piw ke darshan ka

Daud Aurangabadi

;

jag hai mushtaq piw ke darshan ka
kis kun nin ehtiyaj darpan ka

saf dil hai jo aarsi manind
nit hai hairan jamal-e-raushan ka

garche hona hai aib-poshi jahan
kasb kar iKHtiyar sozan ka

kyun na hue aashiqi mein KHauf raqib
har safar mein KHatar hai rahzan ka

zohd-e-zahid hai KHauf-e-mahshar sun
tab namard kun kahan ran ka

KHak ho yar ki gali mat chhoD
garche kuchh muddaa hai daman ka

sabr kar hijr mein tun ai 'daud'
dekhna hai agar sirijan ka