jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen
sitamgar ki sataish hai kisi se kuchh nahin bolen
mujhe tanhai paDhni hai magar KHamosh lahje mein
yahi mahfil ki KHwahish hai kisi se kuchh nahin bolen
mere afkar pe bole baDi tahzib se zahid
muqaddar aazmaish hai kisi se kuchh nahin bolen
ye jo behaal sa manzar ye jo bimar se hum tum
siyasat ki nawazish hai kisi se kuchh nahin bolen
udhar hai jam hathon mein labon pe muskurahaT hai
udhar jab KHun ki barish hai kisi se kuchh nahin bolen
mulazim banna tha kis ko mulazim ban gaya koi
hunar zer-e-sifarish hai kisi se kuchh nahin bolen
zaban aazad hai jo bhi wahi to zinda hai lekin
zaban pe kaisi bandish hai kisi se kuchh nahin bolen
adawat ki yahan 'azhar' jo ek chingari uTThi thi
wo banti jati aatish hai kisi se kuchh nahin bolen
Ghazal
Jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen
Azhar Hashmi