jafa-shiar bhi ho koi mehrban bhi rahe
kisi ke lab pe duaen bhi hon fughan bhi rahe
teri ye dushman-e-jaan ko dua jabin-e-niyaz
ki tu rahe ye tera sang-e-astan bhi rahe
huzur un ke kahen harf-e-muddaa to magar
ye dil bhi pahlu mein ho munh mein ye zaban bhi rahe
idhar tabahi-o-ghaarat-gari udhar tamir
giri hai barq bhi aabaad aashiyan bhi rahe
pukara maut ko tang aa ke zindagi se kabhi
tu mahw-e-justuju-e-umr-e-jawedan bhi rahe
gham-e-maash watan mein yahan gham-e-ghurbat
KHarab haal wahan bhi rahe yahan bhi rahe
rah-e-wafa mein miTa de wo apni hasti ko
jo chahta hai mera hashr tak nishan bhi rahe

Ghazal
Jafa-shiar bhi ho koi mehrban bhi rahe
Shad Bilgavi