jafa se wafa mustarad ho gai
yahan hum bhi qail hain had ho gai
nigahon mein phirti hai aaThon pahar
qayamat bhi zalim ka qad ho gai
azal mein jo ek lag tujh se hui
wo aaKHir ko dagh-e-abad ho gai
meri intiha-e-wafa kuchh na puchh
jafa dekh jo la-tad ho gai
mukarte ho allah ke samne
ab aisa bhi kya jhuT had ho gai
talluq jo palTa to jhagDa bana
mohabbat jo badli to kad ho gai
wo aankhon ki hadd-e-nazar kab bane
nazar KHud wahan ja ke had ho gai
jafa se unhon ne diya dil pe dagh
mukammal wafa ki sanad ho gai
qayamat mein 'muztar' kisi se mile
kahan ja ke ghera hai had ho gai
Ghazal
Jafa se wafa mustarad ho gai
Muztar Khairabadi