jafa-pasandon ko sunte hain na-pasand hua
ab aur bhi dil-e-mayus dard-mand hua
mah-e-do-hafta banaya hamin ne aariz ko
hamari wajh se husn aap ka do-chand hua
juda juda hai mazaq apna apna duniya mein
hamein jo dard to dil dard ko pasand hua
wo pher pher gae toD toD kar aksar
ye dil wo hai jo kai bar dard-mand hua
koi hazar kahe apni hi ye karta hai
hamara dil na hua koi KHud-pasand hua
habab ka ye ishaara hai ahl-e-ghaflat se
hua wo past jo duniya mein sar-buland hua
hua hai ishq mein kam husn-e-ittifaq aisa
ki dil ko yar to dil yar ko pasand hua
hila diya sar-e-baam aaj ja ke dil un ka
asar ko nala-e-qalb-e-hazin kamand hua
dikhaya dil ko ye din kibr-o-be-niyazi ne
ki naz uTha ke kisi ke niyaz-mand hua
ye kaun dilbar-e-nazuk-mizaj se puchhe
pasand bhi dil-e-zeba-e-dard-mand hua
Ghazal
Jafa-pasandon ko sunte hain na-pasand hua
Zeba