jafa dekhni thi sitam dekhna tha
nasibon mein ranj-o-alam dekhna tha
wo aate na aate shab-e-wada lekin
mujhe de ke sar ki qasam dekhna tha
KHajalat hui us ke kuche mein kya kya
mujhe pahle naqsh-e-qadam dekhna tha
mujhe dekhni teri himmat thi saqi
bahut dekhna tha na kam dekhna tha
kaTi sham-e-furqat 'aziz' aah kyun-kar
zara aaina subh-dam dekhna tha
Ghazal
Jafa dekhni thi sitam dekhna tha
Aziz Hyderabadi