jaDon se sukhta tanha shajar hai
mere andar bhi ek pyasa shajar hai
hazaron aandhiyan jheli hain us ne
zamin thame hue buDha shajar hai
pujari jal chaDha kar ja rahe hain
nagar mein dukh ke sukh-data shajar hai
musafir aur parinde jaante hain
ki in ke waste kya kya shajar hai
jo ho fursat to us ke pas baiTho
qalandar hai wali baba shajar hai
zamin par pyar to zinda hai is se
hum insanon se to achchha shajar hai
hamare shahr mein 'akmal' abhi tak
mohabbat banTne wala shajar hai
Ghazal
JaDon se sukhta tanha shajar hai
Fasih Akmal