jaDaw chuDiyon ke hathon mein phaban kya KHub
bhare bhare tere bazu pe nau-ratan kya KHub
khajuri choTi ke qurban wah kya kahna
nisar pariyon ke mu-ba-mu shikan kya KHub
nai jawani ka josh aur ubhaar sine ka
do-shaala Dhalka hua sar se bankpan kya KHub
ajab bahaar hai belon ki aur buTon ki
pari dupaTTa tera ghairat-e-chaman kya KHub
izar-band ke lachchhe ka wah re aalam
gudaz ranon pe pajame ki shikan kya KHub
jo pahna achchha bura tu ne utra ban ban kar
har ek chiz mein jaani sajila-pan kya KHub
gulab se tere gal aur aankhen nargis se
ba-rang-e-ghuncha-lala lab-o-dahan kya KHub
nazar phisalte hi wallah meri aankhon mein KHak
ki saf saf hai aaine sa badan kya KHub
KHuda ne nur ke sanche mein tujh ko Dhaala hai
jo dekhta hai wo kahta hai ye suKHan kya KHub
bayan husn kare tera 'bahr' kis munh se
tera banaw tere chhab teri phaban kya KHub
Ghazal
JaDaw chuDiyon ke hathon mein phaban kya KHub
Imdad Ali Bahr