اردو हिंदी
Jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar mein | Shaahi Shayari
jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar mein

Ghazal

Jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar mein

Tanveer Anjum

;

jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar mein
hain mehr-o-mah-o-anjum-o-aflak nazar mein

ek soz-e-fusun gar hai teri aankh mein pinhan
hai dil ke liye shauq ka fitrak nazar mein

kya KHub ki kashkol faqiri se hai aaya
ek ganj-e-giran-maya tah-e-KHak-e-nazar mein

ek KHwab-e-sahar-saz ka nayab KHazana
daryaft kiya hai teri bebak nazar mein

kuchh aur kahan chahiye is dil ko ki ab hai
dariya-e-gham-e-ishq ka pairak nazar mein

ye KHwab hai sayyaad ka ya ek dil-e-wahshi
ubhra hai koi tair-e-chaalak nazar mein

sailab shaqawat ke muqabil hai tumhaare
ye fasl-e-mohabbat KHas-o-KHashak nazar mein

khae hain bahut mauj-e-muKHalif ke thapeDe
rakkha hai bahut bahr-e-KHatarnak nazar mein

malbus mein 'anjum' ke hain paiwand ke gauhar
kyun Thahre ye kamKHab ki poshak nazar mein