اردو हिंदी
Jacha na kuchh bhi nigahon ko muntaha ke siwa | Shaahi Shayari
jacha na kuchh bhi nigahon ko muntaha ke siwa

Ghazal

Jacha na kuchh bhi nigahon ko muntaha ke siwa

Mahendra Partap Chand

;

jacha na kuchh bhi nigahon ko muntaha ke siwa
jhuka ye sar na kahin un ke naqsh-e-pa ke siwa

hazar minnaten kin lakh hath phailae
mila na kuchh bhi magar zaKHm-e-iltija ke siwa

siwae us ke nahin aur kuchh bhi pas mere
tujhe main dun bhi to kya dost ab dua ke siwa

yahi hawas hai ki sara jahan ho zer-e-nagin
jahan mein kuchh bhi nahin aur is hawa ke siwa

KHulus shart hai awwal bhi aur aaKHir bhi
dayar-e-ishq mein sab hech hai wafa ke siwa

labon pe harf-e-wafa hai dilon mein bair magar
kahun main kya use yaron ki ek ada ke siwa

aziz kyun na ho ai 'chand' mujh ko ye daulat
bacha bhi kya hai mere pas ab ana ke siwa