jabin pe gard-e-kudurat mera usul nahin
jafa-e-ahl-e-zamana pe dil malul nahin
meri KHudi to khaTakti thi teri aankhon mein
tere huzur mera ijz bhi qubul nahin
ye bikhre tare ye be-nazm phul shahid hain
numud-e-husn mein pabandi-e-usul nahin
zarur kuchh to hai apni hayat ka maqsad
suna hai chiz koi dahr mein fuzul nahin
mere waqar pe tere karam pe harf aata
maqam-e-shukr hai meri dua qubul nahin
mere ghubar se daman-kashan ho kyun yaro
chaman ki bu-e-pareshan hun ban ki dhul nahin
Ghazal
Jabin pe gard-e-kudurat mera usul nahin
Manzoor Ahmad Manzoor