jabin pe dhup si aankhon mein kuchh haya si hai
tu ajnabi hai magar shakl aashna si hai
KHayal hi nahin aata kisi musibat ka
tere KHayal mein har baat gham-ruba si hai
jahan mein yun to kise chain hai magar pyare
ye tere phul se chehre pe kyun udasi hai
dil-e-gamin se bhi jalte hain shadman-e-hayat
usi charagh ki ab shahr mein hawa si hai
hamin se aankh churaata hai us ka har zarra
magar ye KHak hamare hi KHun ki pyasi hai
udas phirta hun main jis ki dhun mein barson se
yunhi si hai wo KHushi baat wo zara si hai
chahakte bolte shahron ko kya hua 'nasir'
ki din ko bhi mere ghar mein wahi udasi hai
Ghazal
Jabin pe dhup si aankhon mein kuchh haya si hai
Nasir Kazmi