اردو हिंदी
Jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa | Shaahi Shayari
jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa

Ghazal

Jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa

Habeeb Musvi

;

jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa
hazar baaten hon ek hain phir bhala ye baham malal kaisa

nahin hai ab tab-e-dard-e-furqat kahan ki izzat kahan ki ghairat
hain mubtala apne haal mein hum kisi ka is dam KHayal kaisa

batao mujh ko ye kya hua hai ye kaun sa dard-e-la-dawa hai
ye kyun mera dam ulajh raha hai hai KHud-baKHud ji niDhaal kaisa

tamam aalam hua jo shaida to kuchh tajjub nahin hai is ka
but-e-sitamgar tujh ko baKHsha KHuda ne husn-o-jamal kaisa

gunah se seri hui nahin hai ye kahte hain sab ajal qarin hai
qalaq mein har dam dil-e-hazin hai ki hoga apna maal kaisa

ye us sitamgar se koi kah de mariz-e-furqat ki ab KHabar le
hain kaT rahi zindagi ki ghaDiyan kahan ka din mah-o-sal kaisa

ghazab se hai wan jo chin jabin par hujum-e-gham hai dil-e-hazin par
lahu ke dhabbe hain aastin par hai daman ashkon se lal kaisa

hawas hai har ek ji ki ji mein hue jo ghash wasl ki KHushi mein
tamam shab guzri be-KHudi mein jawab kaisa sawal kaisa

jahan chhana paDa hai kab ka falak pe wahshat ka ab hai shohra
kahan ka maghrib kahan ka mashriq junub kaisa shumal kaisa

wo mehr hun main hua jo talea to ek zamane ne KHak uDai
chamakne dete nahin hain bad mein uruj kaisa zawal kaisa

'habib' kar ke buton ki ulfat abhi se ye hijr ki shikayat
rahega ab hashr tak ye jhagDa yahan bhala infisal kaisa