jabin par KHak hai ye kis ke dar ki
balaen le raha hun apne sar ki
ubhar aai hain phir choTen jigar ki
salamat barchhiyan tirchhi nazar ki
qayamat ki haqiqat jaanta hun
ye ek Thokar hai mere fitnagar ki
kiya majbur aain-e-wafa ne
na karni thi wafa tum se magar ki
na manoge na manoge hamari
udhar ho jaegi duniya idhar ki
hui an-ban kisi se mujh pe barse
balaen mere sar dushman ke sar ki
na tere husn-e-be-parwa ki ghayat
na koi had mere zauq-e-nazar ki
Ghazal
Jabin par KHak hai ye kis ke dar ki
Mubarak Azimabadi