اردو हिंदी
Jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin | Shaahi Shayari
jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin

Ghazal

Jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin

Krishn Bihari Noor

;

jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin
ye dekh meri mohabbat mein kuchh kami to nahin

hazar gham sahi dil mein magar KHushi ye hai
hamare honTon pe mangi hui hansi to nahin

miTe ye shubh to a dost tujh se baat karen
hamari pahli mulaqat aaKHiri to nahin

hui jo jashn-e-bahaaran ke nam se mansub
ye aashiyanon ke jalne ki raushni to nahin

hayat hi ke liye be-qarar hai duniya
tere firaq ka maqsad hayat hi to nahin

gham-e-habib kahan aur kahan gham-e-jaanan
musahibat hai yaqinan barabari to nahin

ye hijr-e-yar ye pabandiyan ibaadat ki
kisi KHata ki saza hai ye zindagi to nahin

tumhaari bazm mein afsana kahte Darta hun
ye sochta hun yahan koi ajnabi to nahin