jabin ko chain kahan zer-e-lab dua hai bas
talab ki chah ka ek tu hi aasra hai bas
makin-e-KHak faqat shor-o-shar mein Dube hain
hayat kya hai ki aaraish-e-qaza hai bas
hisar-e-aks se niklen to apni sochen hum
abhi to pesh-e-nazar raqs-e-aina hai bas
shuur kahta hai us ko utarna hoga
urus-e-waqt pe pairahan-e-ana hai bas
ye ahl-e-fikr se kah do ki wusat-e-imkan
abhi bhi pa-e-tasawwur ka naqsh-e-pa hai bas
KHirad ke bas mein nahin dusre ka gham 'amir'
ghalat samajh hai junun ek walwala hai bas
Ghazal
Jabin ko chain kahan zer-e-lab dua hai bas
Amir Nazar