jabin ka chand banun aankh ka sitara banun
kisi jamal-e-shafaq-tab ka sahaara banun
mohabbaton ki shikaston ka ek KHaraba hun
KHudara mujh ko girao ki main dobara banun
ye bhigi bhigi hawaon mein sard sard mahak
jo dil ki aag mein utre to kuchh gawara banun
har ek ghuncha-dahan ka yahi taqaza hai
jamaliyat ka main aaKHiri shumara banun
zamana manzar-e-mauhum ka hai shaidai
ye aarzu hai koi daur ka nazara banun
har ek mauj ho uThti jawaniyon ki dhanak
banun to aise samundar ka main kinara banun
mujhe lagan ki main aaine ki misal rahun
use hawas ki riwayat-e-sang-e-KHara banun
ghazal wo kyun na ho 'farigh' dur-e-adan ki jahan
har ek sher ko zid ho ki shah-para banun
Ghazal
Jabin ka chand banun aankh ka sitara banun
Farigh Bukhari