اردو हिंदी
Jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de | Shaahi Shayari
jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de

Ghazal

Jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de

Abdul Aleem Aasi

;

jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de
ki zauq-e-zindagi mahdud sang-e-astan tak hai

nawed-e-rustagari par abas dil-shad hota hai
abhi sad dam ai bulbul-e-qafas se aashiyan tak hai

ye ehsas-e-talluq mujh ko miTne bhi nahin deta
ki teri dastan ka rabt meri dastan tak hai

tarana chheD wo mutrib ki ruh-e-ishq chaunk uTThe
KHarosh-e-nala-e-gham kya jo soz-e-jism-o-jaan tak hai

sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja
wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai

zamana chahiye takmil-e-zauq-e-lazzat-e-gham ko
abhi duniya-e-dil mahdud zikr-e-in-o-an tak hai

bayaban-e-mohabbat ki nawazish puchhna kya hai
ummid-o-bim ki haalat faqat sud-o-ziyan tak hai

kahan se laegi duniya hamari himmaten 'asi'
mohabbat mein qadam apna faqat kaun-o-makan tak hai