jabin-e-sang pe likkha mera fasana gaya
main rahguzar tha mujhe raund kar zamana gaya
naqab oDh ke aae the raat ke qazzaq
pighalti sham se sab dhup ka KHazana gaya
kise KHabar wo rawana bhi ho saka ki nahin
tumhaare shahr se jab us ka aab-o-dana gaya
wo chal diya to nigahon se ki dilon se ghurur
labon se zahr hawaon se taziyana gaya
ye jaanta hun ki tu ne liya tha rok use
magar wo aatishin aansu mujhe jala na gaya
main ek Dolta sagar mujhe uThata kaun
ghaTa uTha ke chali thi magar chala na gaya
kahan gaya main bichhaD kar kise KHabar hogi
jo ek bar yahan se hua rawana gaya
Ghazal
Jabin-e-sang pe likkha mera fasana gaya
Wazir Agha